Sunday 24 February 2013

Aatankwad Poem No. 50 (Chandan Rathore)



Half century of my Poems
POEM No.50
-------------------
Aatankwad
-------------------
kar di lahu luhan ye dharti
chir di chati har shahro ki
fel raha ye aatankwad

kitne begane log he marte
kitne gharo ke chirag he bhujte
kyo fel raha he ye jaatiwad
kyo fel raha ye aatankwad

gayl logo ki dard bhari chikhe
rote bilakhte logo ki tilmilati wo aakhe
kyo marte wo logo ko, kyo ban gye wo hevan
kab khatm hoga ye sab ,phuch raha aaj har inshan

dhal gya he aaj jamana
fir bhi unhe kisi ne na pahchana
kyo na khatm karte wo ye viwad
kyo fela rahe he ye aatankwad

dehli,mumbai,jaipur me ho rahe ye halat
kis ko sunaye dukhde apne kon sahe ye halat

dard dete sarifo ko kon dilaye unhe insaf
desh k javano suno hamri ye fariyad
band karwao ye aatankwad
band karwao ye aatankwad


आपका शुभचिंतक
लेखक - चन्दन राठौड़

9:35 PM 24/02/2013

No comments:

Post a Comment

आप के विचारो का स्वागत हें ..