Wednesday 20 March 2013

"Bas Tum Ho" Poem No.60 (Chandan Rathore)



POEM No.60
---------------
Bas Tum Ho
---------------
Meri hasi tum ho mere sare arman tum ho
kesi ye tumhari parchahi he jese har saksh me tum ho

duriya badhti rahi pyar me fir bhi har jare me tum ho
sapne bahut he aate muje aaj kal kyoki har savpn me tum ho

bhukh lagti nhi muje ab kyo ki har kayal me tum ho
rota bahut hu me tumhare liye kyo ki har aasu me tum ho

kisi se khuch puchta nhi kyoki mere har sawal me tum ho
kisise khuch kahta nhi kyoki har javab me tum ho

berukhi he chare pe hamri kyo ki meri khusi me tum ho
dukhde apne kisi ko sunata nhi kyoki mere har gam me tum ho

''Tera kahyal kya rakhu ab mera kahyal nhi muje
tu kya ab teri parchahi se bhi pyar nhi muje
dard ka dariya se samndar ho gya dil mera
jab kaha tumne ki 'ha ab bhi pyar nhi muje' ''

aaj me kahta hu ki mera aakhri pyar bhi tum ho
kese chalunga aage ab me tum bin kyoki mera aakhri rasta hi tum ho

bas tum ho or bas tum ho


आपका शुभचिंतक
लेखक - चन्दन राठौड़

10:40pm, Sun 10-03-2013

No comments:

Post a Comment

आप के विचारो का स्वागत हें ..