POEM No.68
---------------
save tree save world
---------------
kesi ye jangal ki lila niyari he
kitni manohram ye jangal ki hariyali he
panchi jaha apne geet sunate
hare hare parvt sab ko rijate
kitni pyari hawa he aati
sab k man ko wo he bhati
kesi ye jivan ki kyari he
kitni pyari ye hariyali he
pedo ki patiya roj nai sargam sunati
dur se bahti nadi dekho kitni idhlati
hari ho chali dharti sari
charo or jab feli hariyali
fulo se kitni pyari wo khushbu aati
chidiya ki chah chahat kitni lubhati
sawan jab aata he sab ke dilo me rang bhar jaata he
sab premi uglo ko hariyali ka mosam kitna bhaata he
jannat lagti he dharti jab umad kar aati he hariyali
mann parfulit ho jaata he jab lahr lahr lahrati hariyali
kesi ye hariyali he
kitni pyari ye hariyali he
Save Tree Save India
आपका शुभचिंतक
लेखक - चन्दन राठौड़
8:26 AM 22/03/2013
No comments:
Post a Comment
आप के विचारो का स्वागत हें ..