POEM No.61
----------------
Mazdur
----------------
Majbur kahe majdur ko ya kahe kaamgar
rukhi sukhi khay k wo bhi bangya sarkar
man bada he majdur ka dil me na koi paap
dekh-dekh majdur ko mukh na feriyo aap
mahnat kar roti kamave kisi k haat ki chin k na laave
milti majduri thodi par raaji khusi vo khave
pura din majduri kare jaha jagh mile vaha so jaave
koi na kalesh ghar me,na chup chup wo aasu bahave
dekh majdur ko kai bhav man me uth aave
bhukhe niraasrit ko dekh man me nai shardha bad jaave
''kabhi na badhe haat to aage aaye
kahi ye moka na nikal jaaye
khuch karm karo lo aache kahi ye jivan na nikal jaaye''
majbut he majdur par pese bin majbuti kaha
amir he lakho yaha par saaf man k wo amiri kaha
dudh lo unme bhi ishvar ka vashta
majdur ki duwa jesi duwa kaha
आपका शुभचिंतक
लेखक - चन्दन राठौड़
13:13Pm, Wed 13-03-2013
No comments:
Post a Comment
आप के विचारो का स्वागत हें ..