POEM No.66
--------------
Mera Abhiman He Beti
--------------
Kho jana he is gudiya ko
Ud jaana he ek din is chidiya ko
duniya ki bhid me kho jayegi ek din
ab sajhana he es duniya ko
beti dulari meri akhiyo ka pani he
beti ek sapno ki pudiya he
kahi fek na dena us pudiya ko
betiya to kaanch ki chudiya he
kahi tod na dena un chudiyo ko
beti ek ujala he apne jivan ka
kahi buja na dena us ujale ko
''fark kya karte ho beta-beti me dono ek saman he
jara samjo beti hona bhi ek abhiman he''
uski yaad tab aayegi jab wo jaayegi
dard us din hoga jab wo royegi
use kyo marne me lage ho
jo tumhare jivan ko ek din swarg banayegi
आपका शुभचिंतक
08:36pm, Mon 18-03-2013
लेखक - राठौड़ साब "वैराग्य"
(Facebook,Poem Ocean,Google+,Twitter,Udaipur Talents, Jagran Junction , You tube , Sound Cloud ,hindi sahitya,Poem Network)
08:36pm, Mon 18-03-2013
(#Rathoreorg20)
_▂▃▅▇█▓▒░ Don't Cry Feel More . . It's Only RATHORE . . . ░▒▓█▇▅▃▂
No comments:
Post a Comment
आप के विचारो का स्वागत हें ..