Monday 1 April 2013

Ek Anjani Ladki ( एक अन्जानी लडकी.. ) POEM NO. 73 (Chandan Rathore)


POEM No.73
--------------
एक अन्जानी लडकी...
--------------
Jab wo chalti he kya khushbu aati he
jab wo hasti he to fulo ki barsat ho jati he

uska kayal jo aata he to man machal jaata he
uski baat jo hoti he kahi to muje sharm si aajati he

uska ahsas jab hota he rota hua chahra bhi has padta he
mosam hi badal jaata he jab wo jum jum k nachti he

bholi bhali natkhat wo pari dekh kar muje wo chup jaaye
nayan uske matwale najar uski thodi nashili he

uski payal ki jankar jese kaano me padti he
man me kai sitare jumne lagte
dil me nai umang si dod padti he

uske pero ki aahat dhire se aaati he
chupke se mere piche aakhe muje wo darati he

mere pass aake wo pagli fir lot jaati he
kitna dard he usko fir bhi har dam wo mushkurati he

Ek Anjani Ladki dekho sapne me Kitna satati he




आपका शुभचिंतक
लेखक -  राठौड़ साब "वैराग्य" 

11:39am, Sat 30-03-2013
(#Rathoreorg20)
_▂▃▅▇█▓▒░ Don't Cry Feel More . . It's Only RATHORE . . . ░▒▓█▇▅▃▂

No comments:

Post a Comment

आप के विचारो का स्वागत हें ..